Wednesday 6 May 2015

Actor Salman khan convicted for hit and run case in 2002

‪#‎SalmanKhanConvicted‬. Pin drop silence in the court:
Salman: Sir ek baar suno to sahi?
Judge: Ek bar joh maine commitment kar di ... uske baad toh main khud ki bhi nahi sunta
Salman: Sir mai begunaah hoon
Judge: Ye tumhi kahte the naa, Sharab aur khoon main apni marzi se peeta hoon ... dabake
Salman: Sir ab main kya karu?
Judge: Swagat nahi karoge aap hamara?
Salman: Sir mujhe kya pata wahan Aadmi so rahe the?
Judge: Aam aadmi sota hua sher hai ... ungli mat kar ... jaag gaya toh cheer phaad dega
Salman: Sir aap cheez kya ho?
Judge: Mere bare mein itna mat sochna ... dil mein aata hoon ... samajh mein nahi
Salman: Okkkaay? Matlab final hai aapka faisla?
Judge: Main request nahi karta ... ek hi baar bolta hoon ... aur full and final ho jaata hai
Salman stares at the judge
Judge: Agar tum mujhe yun hi dekhti rahi ... toh tumhe mujhse pyar ho jayega
Salman: Sir mai life me koi nayi excitement nahi chahta
Judge: Woh jeena bhi koi jeena hai jis mein kick na ho
Salman: Don’t you think you are overestimating yourself?
Judge: Zindagi mein teen cheez kabhi underestimate nahi karna ... I, Me and Myself!
Salman stops speaking and waves at his fans.
Wahin door Yerawada Jail mein:
Sanjay Dutt: Badtameez, chaddar ki kameez, lohe ka pajama, bandar tera mama, arre billi teri mausi, kutta tera yaar, aam ka achaar ... aaja mere yaar!